Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 2961 - 2970 of 3592, Page 297 of 360 pages.


Soch ko badlo, sitare badal jayeng,
Najar ko badlo, nazare badal jayenge,
Kashtiya badalne ki jarurat nahi,
Dishaon ko badlo, KINARE badal jayenge.
Kaun jane kab maut ka paigam aa jaye,
Zindagi ki akhari sham aa jaye,
Hum toh dhundhte hain waqt aisa jab,
Hamari zindagi apke kam aa jaye.
Qayamat tak tujhe yaad karenge,
Teri har baat par aitbaar karenge,
Tujhe MAIL karne ko to nahi kahenge,
Par phir bhi tere MAIL ka intezar karenge.
Koi ankhon se baat kar leta hai,
Koi ankhon mein mulakat kar leta hai,
Bada mushkil hota hai jawab dena,
Jab koi khamosh rehkar sawaal kar leta hai.
Bahut dur magar bahut paas rehte ho,
Aankho se dur magar dil ke paas rehte ho,
Mujhe bas itna bata do,
kya tum bhi mere bina udaas rehte ho?
Teri dosti hum is tarah nibhayenge,
Tum roz khafa hona hum roz manayenge,
Par maan jana manane se,
Warna yeh bheegi palkein le ke kaha jayenge.
Woh ruthte rahe hum manate rahe,
Unki raahon me palkein bichate rahe,
Unhone kabhi palat ke bhi na dekha,
Hum ankh jhapkane se bhi katrate rahe.
Yaadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai,
Kaanon me gunjti shahnai si lagti hai,
Aap karib ho to apnapan hai,
Warna seene me saanse bhi parai si lagti hai.
Woh inkar karte hain ikrar ke liye,
Nafrat bhi karte hain to pyar ke liye,
Ulti chaal chalte hain yeh ishqwale,
Ankhein band karte hain didar ke liye.
Kuch nasha to aapki baat ka hai,
kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
humein aap yun hi sharabi na kahiye,
is dil par asar to aap se mulakat ka hai !

 0 People liked it
0 Ratings


Es baarish mein hum bheeg jaayenge,
Tum saath ho to tufan se takra jayenge,
Tum jaha bhee ho mujhe yaad karlo,
Baarish bankar hum tere pass aa jayenge..

 0 People liked it
0 Ratings


Kab hua hume pyar pata nahi,
Kab ho gaya hume ikrar unse pata nahi,
Hum jinka intezar karte hain raato mein,
Unki yaad mein nikal aaya aansu pata nahi.

 0 People liked it
0 Ratings


Neele neele amber par
Chaand jab aye pyaar barsaye
Hum ko tarsaye
asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye
Unche unche parbat
Jab chumte hain amber ko
Piyasa piyasa amber
Jab chumta hay sagar ko
Pyaar se kasne ko
Bahoon main basne ko
Dil mera lalchaye
Koy to a jaye
Asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye
Thande thande jhonke
Jab baloon ko sehlayeen
Tapti tapti kirneen
Jab galoon ko chu jayeen
Sanson ki garmi ko
Hathon ki narmi ko
Mera man tarsaye
Koy to chu jaye
Asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye
Cham cham karta sawan
Bundon k baan chalaye
Satrangi barsaton main
Jab tan man bhiga jaye
Pyaar main nahane ko
Duub hi jane ko
Dil mera tarpaye
Khuwab jaga jaye
Asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye
Neele neele amber par

 0 People liked it
0 Ratings

Zindagi Mein Koyi Kabhi Aaye Na Rabba,
Aaye Jo Koyi Toh Phir Jaaye Na Rabba,
Dene Ho Gar Mujhe Baad Mein Aansoo…
Toh Pehele Koyi Hasaaye Na Rabba -2
Toh Pehele Koyi Hasaaye Na Rabba.
Jaate Jaate Koyi Meri Khushiyon Ko Le Gaya,
Suni Suni Akhiyon Ko Gham, Koyi De Gaya -2
Aas Jo Lagaayi Hai, Aankh Bhar Aayi Hai -2
Itna Bhi Koyi, Sataaye Na Rabba,
Zindagi Mein Koyi Kabhi Aaye Na Rabba,
Aaye Jo Koyi Toh Phir Jaaye Na Rabb,
Dene Ho Gar Mujhe Baad Mein Aansoo…
Toh Pehele Koyi Hasaaye Na Rabba -2
Dil Lene Waale Pe Zor Nahin Chalta,
Pyaar Ka Ye Sikka, Kahin Aur Nahin Chalta -2
Yaad Teri Aayi Hai, Tu Harjaai Hai -2
Itna Bhi Koyi Tadpaaye Na Rabba,
Zindagi Mein Koyi Kabhi Aaye Na Rabba ,
Aaye Jo Koyi Toh Phir Jaaye Na Rabba,
Dene Ho Gar Mujhe Baad Mein Aansoo…
Toh Pehele Koyi Hasaaye Na Rabba -2

 0 People liked it
0 Ratings


Kabhi aana to halka sa ishaara dena,
Kabhi shaam kabhi aanchal ka kinara dena,
Mein agar doob ke ubhroon to sahara dena,
Teri ulfat mein mukammal hoon har pehlu se,
Mujhe dard bhi dena to saara dena,
Main tujhe ghum ke samandar mein kinara doonga,
Tu mujhe hijr ke tufaan mein sitara dena,
Main teri yaad ke sehra mein kahi rehta hoon,
Kabhi aana to halka sa ishaara dena,

 0 People liked it
0 Ratings


Wo ek dost jo mujhko KHUDA sa lagta hai
bahut kareeb hai phir bhi juda sa lagta hai
NaKhuda Saath hai phir bhi humen saahil na mila
Naseeb humara humsee khafa sa lagta hai
Saari khushiyaan hui haasil hume Zamane ki
phir bhi dil main to koi ghum chupa sa lagta hai
Woh Aik Dost Jo Mujko Khuda” sa lagta hai
koi jab do dilo ke darmian nahin doori
jism ka jism se kyon faslaa sa lagta hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Koi Khata Ho Jaye To Maaf Karna.
Koi Sikva Ho Jaye To Maaf karna.
Dil Se To Hum Aap Ko Bhulte Nahi.
Dhadkan Hi Ruk Jaye To Maaf Karna.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 2961 - 2970 of 3592, Page 297 of 360 pages.