Dil Shayari

Dil Shayari - A large collection of Dil Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Dil Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Dil Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Dil Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Dil Shayari

Showing Dil Shayari 371 - 380 of 523, Page 38 of 53 pages.

Sabhi kuch hai tera diya hua sabhi rahaten sabhi kalafaten
kabhi sohabaten kabhi furqaten kabhi duriyan kabhi qurbaten
ye sukhan jo hum ne raqam kiye ye hain sab varaq teri yaad ke
koi lamha subah-e-visal ka, kai sham-e-hijr ke qurbaten
jo tumhari man lain nasiha to rahega daman-e-dil mein kya
na kisi udu ke adavaten na kisi sanam ke muravvaten
chalo aao tum ko dikhayen hum jo bacha hai maqtal -e-shahar mein
ye mazar ahal-e-safa ke hain ye hain ahal-e-sidq ke turbaten
meri jan aj ka gham na kar, ke na jane katib-e-vaqt ne
kisi apne kal mein bhi bhool kar kaheen likh rakhi ho masarraten

 0 People liked it
1 Ratings

Jab lage zakhm to qatil ko dua di jaye
hai yahi rasm to ye rasm utha di jaye
tishnagi kuch to bujhe tishnalab-e-gam ke
ik nadi dard ke shaharon mein baha di jaye
dil ka wo hal hua ae gam-e-dauran ke tale
jaise ik lash chattanon mein daba di jaye
hum ne insanon ke dukh dard ka hal dhundh liya
kya bura hai jo ye afva uda di jaye
hum ko guzri hui sadiyan to na pahachanengi
aane wale kisi lamhe ko sada di jaye
phul ban jati hain dahake hue sholon ke laven
shart ye hai ke unhen khub hawa di jaye
kam nahi nashe mein jade ke gulabi raten
aur agar teri javani bhi mila di jaye
hum se pucho gazal kya hai gazal ka fan kya hai
chand lafzon mein koi aah chupa di jaye

 0 People liked it
1 Ratings

Teri baten hi sunane aaye
dost bhi dil hi dukhane aaye
phul khilate hain to hum sochate hain
tere aane ke zamane aaye
aisi kuch chup si lagi hai jaise
hum tujhe hal sunane aaye
ishq tanha hai sar-e-manzil-e-gam
kon ye bojh uthane aaye
ajanabi dost hamen dekh ke hum
kuch tujhe yaad dilane aaye
dil dhadakata hai safar ke hangam
kash phir koi bulane aaye
ab to rone se bhi dil dukhata hai
shayad ab hosh thikane aaye
kya kaheen phir koi basti ujadi
log q jashn manane aaye
so raho maut ke pehlu mein ‘faraz'
neend kis waqt na jane aaye

 0 People liked it
1 Ratings

Yeh Milna Aur Bicharr Jaana
Kab Apne Bas Ki Baat Hai
Kismat Hi Milati Hai Hum Ko
Kismat Hi Juddai Deti Hai
Har Baar Yeh Hi Hota Hai
Koi Hume Bataye To Sahi
Jo Tum Se Nahi Keh Paate Hai
Dharkan Se Sunayi Deti Hai

 0 People liked it
1 Ratings

Dil Ke Riste Bhi Ajib Hote Hai
Dur Hoke Bhi Krib Hote Hai
Jo Log Apko Roj Dekhte Hone
O Log Kittne Khusnasib Hote Hai

 0 People liked it
1 Ratings

Har Pal Mera Dil Tumhi Ko Yaad Kyu Karta Hai,
Jab Tum Dur Jate Dil Kyu Rota Hai,
Jab Tum Paas Hote Ho Ek Khaas Ehsaas Kyu Hota Hai,
Jab Tum Muskurate Ho Dil Kyu Khush Hojata Hai,
Aisa Kyun Hota Hai.
Tumhara Dukh Dekhkar Dil Kyu Dukhsa Jata Hai,
Jab Tum Naraaz Rehte Ho Sara Jaha Naraaz Kyu Lagta Hai,
Jab Tum Kuch Kehte Ho Dil Kyu Use Maan Leta Hai,
Tumhari Khomoshi B Dil Kyu Samajh Leta Hai ,
Aisa Kyun Hota Hai.
Tumhari Aawaz Sunkar Dil Kyu Betaab Ho Jata Hai,
Jab Tum Mera Naam Lete Ho Dil Kyu Dhaksa Jata Hai,
Jab Tum Samne Aate Ho Dil Kyu Sharma Jata Hai,
Jab Tum Mujhe Dekhte Ho Dil Kyu Tumhara Hojata Hai.
Aisa Kyun Hota Hai.

 0 People liked it
1 Ratings

Hawa ke zor se pindar-e-bam-o-dar bhi gaya
chirag ko jo bachate the un ka ghar bhi gaya
pukarate rahe mahafuz kishtiyon wale
main dubata hua dariya ke par utar bhi gaya
ab ehatiyat ke divar kya uthate ho
jo chor dil mein chupa tha wo kam kar bhi gaya
main chup raha ki is mein thi aafiyat jan ke
koi to meri tarah tha jo dar par bhi gaya
sulagte sochate viran mausamon ke tarah
kada tha ahad-e-javani magar guzar bhi gaya
jise bhula na saka us ko yaad kya rakhta
jo naam dil mein raha zehan se utar bhi gaya
phati-phati hui aankhon se yun na dekh mujhe
tujhe talash hai jis ke wo shakhs mar bhi gaya
magar falak ke adavat usi ke ghar se na thi
jahan ‘faraz' na tha sail-e-gam udhar bhi gaya

 0 People liked it
1 Ratings

Kaanch Ka Tohfa Na Dena Kabhi Kisi Ko
Rooth Ke Log Aksar Tod Diya Karte Hain
Jo Bahut Acha Ho Use Jayda Pyar Mat Karna
Ache Log Hi Aksar Dil Tod Diya Karte Hain

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Dil Shayari 371 - 380 of 523, Page 38 of 53 pages.