Dil Shayari

Dil Shayari - A large collection of Dil Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Dil Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Dil Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Dil Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Dil Shayari

Showing Dil Shayari 181 - 190 of 523, Page 19 of 53 pages.

Jisne Hamko Chaha, Use Hum Chah Naa Sake
Jisko Hamne Chaha, Use Hum Paa Naa Sake
Ye Soch Lo Ki, Dil Tutne Ka Khel Hai,
Kisi Ka Toda Aur, Apna Bacha Naa Sake

 0 People liked it
1 Ratings

Dil Se Dil Ka Rutba Achcha Laga..
Aaj Usko Sochna Achcha Laga,
Jaate Jaate Aakhri Lamhe Mein,
Mudkar Uska Dekhna Achcha Laga,
Zindagi Bhar Usne Jo Kuch Bhi Kiya,
Uska Har Ek Faisla Achcha Laga,
Har Taraf Thi Bawafa Logo Ki Bheed,
Ek Wo Hi Bewafa Achcha Laga,
Wo Haya Ki Har Ada Mein Thi Jab,
Paas Reh Kar Bhi Fasla Achcha Laga,
Kyo Mohabbat Ho Gayi Usse,
Kya Bataye Humko Usme Kya Kya Achcha Laga..!!!

 0 People liked it
2 Ratings

Har Dil Ko Kisi Na Kisi Dilbar Ka Intezaar Hota Hai
Kayi Saari Raahon Se Gujarte Yeh Jeevan Paar Hota Hai
Har Pal Dil Sapne Bunta Hai Tanhaiyon Ke Saaye Mein
Mohabbat Se Hi To Yaaro Jeene Ka Ehsaas Hota Hai.

 0 People liked it
2 Ratings

Teri Hi Baatein Batane Aye
Dost Bhi Dil Hi Dukhane Aye
Phool Khilte Hain To Hum Sochte Hain
Tere Ane Ke Zamane Aye
Aisi Kuch Chup Si Lagi Hai Jaise
Humunhe Haal Sunane Aye
Ab To Rone Se Bhi Dil Dukhta Hai
Shayad Ab Hosh Thikane Aye
Kiya Kaheen Phir Koi Basti Ujri
Log Kyun Jashan Manane Aye
So Raho Maut Ke Pehlu Mein
Neend Kis Waqt Na Ajne Aaye….

 0 People liked it
1 Ratings

Hoti hai tere naam se vahshat kabhi kabhi
barham hui hai yun bhi tabiyat kabhi kabhi
ae dil kise nasib ye taufiq-e-iztirab
milati hai zindagi mein ye rahat kabhi kabhi
tere karam se ae alam-e-husn-e-afrin
dil ban gaya hai dost ke khilvat kabhi kabhi
dil ko kahan nasib ye taufiq-e-iztirab
milati hai zindagi mein ye rahat kabhi kabhi
josh-e-junun mein dard ke tugayaniyon ke sath
ashkon mein dhal gai teri surat kabhi kabhi
tere qarib rah ke bhi dil mutamain na tha
guzri hai mujh pe bhi ye qayamat kabhi kabhi
kuch apana hosh tha na tumhara khayal tha
yun bhi guzar gai shab-e-furqat kabhi kabhi
ae dost hum ne tark-e-muhabbat ke bavajud
mahasus ke hai teri zarurat kabhi kabhi

 0 People liked it
2 Ratings

Dil Teri Saanson Mein Kaid Saa Mujhe Lgta Hai
Din Mein Hai Ye Sota Raato Mein Ye Jagta Hai
Kbhi Sochun Ki Teri Yaad Hai Kyun Aati Sanam Mujhko
Hai Jeene Ki Wajah Tuhi To Bas Ye Dil Samajta Hai

 0 People liked it
2 Ratings

Sagar se lab laga ke bahut khush hai zindagi
sahan-e-chaman mein aake bahut khush hai zindagi
aa jao aur bhi zara nazadik jan-e-man
tum ko qarib pake bahut khush hai zindagi
hota koi mahal bhi to kya puchate ho phir
be-vajah muskura ke bahut khush hai zindagi
sahil pe bhi to itni shagufata ravish na thi
tufan ke bich aake bahut khush hai zindagi
viran dil hai aur “adam” zindagi ka raqs
jangal mein ghar banake bahut khush hai zindagi
 
 
 
Poet of the / Ghazal or Nazam :Abdul Hameed Adam

 0 People liked it
1 Ratings

Hum ne duniya mein aake kya dekha
dekha jo kuch so khvab-sa dekha
hai to insan khak ka putala
lek pani ka bul-bula dekha
khub dekha jahan ke khuban ko
ek tujh sa na dusara dekha
ek dam par hawa na bandh habab
dam ko dam bhar mein yan hawa dekha
na huye teri khak-e-pa hum ne
khak mein aap ko mila dekha
ab na dije “zafar” kisi ko dil
ki jise dekha bevafa dekha

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Dil Shayari 181 - 190 of 523, Page 19 of 53 pages.