Dil Shayari

Dil Shayari - A large collection of Dil Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Dil Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Dil Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Dil Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Dil Shayari

Showing Dil Shayari 171 - 180 of 523, Page 18 of 53 pages.

Palko Se Aankho Ki Hifazat Hoti Hai
Dhadkan Dil Ki Amanat Hoti Hai
Hamara Rishta Bhi Bada Pyara Hai
Kabhi Chahat To Kabhi Shikayat Hoti Hai.

 0 People liked it
1 Ratings

Tujh se mil ke dil mein reh jati hai aramanon ke baat
yaad rahati hai kise sahil pe tufanon ke baat
wo to kahiye aj bhi zanjir mein jhankar hai
warna kis ko yaad reh jati hai divanon ke baat
kya kabhi hogi kisi ke tu magar ae zindagi
jan de kar hum ne rakh li tere divanon ke baat
bazm-e-anjum ho ke bazm-e-khak-ta-bazm-e-khayal
jis jagah jao sunai degi insanon ke baat
phul se bhi narm-tar ‘wamiq' kabhi apna kalam
aur kabhi talavar hum aashuftasamanon ke baat

 0 People liked it
1 Ratings

Tujhko Bhulaane Ki Jo Kee Maine Himmat Kya Kahun
Ye Din Bhi Bekhna Tha Meri Kismat Kya Kahun
Ghum-O-Ashq,Hasrat-E-Deedaar Aur Aarzoo-E-Sharaab
Deewaano Si Ho Gayi Hai Meri Haalat, Kya Kahun
Kamjor Dil Tha, Seh Na Paaya Ai Husn Aapki Waffa
Ek Baar Mein Udhel Di Itni Rehmat, Kya Kahun
Jee Raha Hun Main Abhi Tak Ye Bhi Kya Kam Hai…
Aapki Duwaaon Ki Ab Keemat, Kya Kahun
Aapke Rukh Pe Maasoomiyatl Ki Raanaaiyan Hain Dost
Ek Aur Bhi Thi Aapse Shikaayat, Kya Kahun
Mujhe Ishq-E-Junoo Ki Kitaab Pe ‘TADAP‘ Likhna Tha
Kuchh Aur Bhi Thi Dil Mein Mere Hasrat, Kya Kahun..
Sameer Aggarwal ‘TADAP'

 0 People liked it
1 Ratings

Pyaar Mein To Dil Toot Hi Gaya,
Ab To Dosti Mein Bhi Dil Totney Laga,
Kitni Bar Todoge Dil Humara,
Ab Tootega To Shayad Mar Hi Jayega

 0 People liked it
1 Ratings

Vusa't-e-chashm ko andoh-e-basarat likha
main ne ik vasl ko ik hijr ke halat likha
main ne likkha ke safa-e-dil kabhi khali na ho
aur kabhi khali ho bhi to malamat likha
main ne paravaz likhi hadd-e-falaq se aage
aur be-bal-o-pari ko bhi nihayat likha
main ne dastak ko likha kash-ma-kash-e-be-khabari
jumbish-e-parda ko aane ke ijazat likha
main ne khushbu ko likha dastaras-e-gum-shudagi
rang ko fasala rakhane ke riyayat likha
zakhm likhane ke liye main ne likhi hai gafalat
khoon likhana tha magar main ne hararat likha
husn-e-goai ko likhana tha likhi saragoshi
shor likhana tha so aazar-e-sama'at likha
main ne tabir ko taharir mein aane na diya
khwab likhate hue mohataj-e-basharat likha
koi aasan rafaqat nahi likhi main ne
qarb ko jab bhi likha jazb-e-raqabat likha
itane daon se guzar kar ye khayal aata hai
‘azm' kya tum ne kabhi harf-e-nadamat likha

 0 People liked it
1 Ratings

Ye barhami ki naz-e-iltifat ke bad
hum ko maut ka paigam hai hayat ke bad
ye kufr-o-din ka fasana ye zikr-e-dair-o-haram
aziz hai magar un ke tuvajjihat ke bad
??? pe ashk-e-alam dil mein pas-e-zabt-e-fugan
jo hum hanse to bhi kitne takallufat ke bad
ab aur hadase kya pesh aayenge ae dil
hamari un ke muhabbat ke hadasat ke bad
hum ahal-e-hijr ko lutf-e-sahar nasib kahan
yahan to raat hi aayi hamesha raat ke bad
kabhi karam hi karam tha aur ab sitam bhi nahi
tagaful aur phir itni tavajjuhat ke bad
bajuz tere koi mauzu-e-zindagi hi nahi
ajeeb hal hai tark-e-ta'alluqat ke bad
agar ho sidq to aasaniyan bhi hoti hain
‘shamim' rah-e-muhabbat ke mushkilat ke bad

 0 People liked it
1 Ratings

Yun teri rahaguzar se divanavar guzri
kandhe pe apne rakh ke apna mazar guzri
baithe rahe hain rasta mein dil ka khandhar saja kar
shayad isi taraf se ek din bahar guzri
bahati hui ye nadiya ghulate hue kinare
koi to par utre koi to par guzri
tu ne bhi hum ko dekha hum ne bhi tujh ko dekha
tu dil hi har guzra hum jan har guzri

 0 People liked it
1 Ratings

Yun Mehfil Nahi Hoti Our Nazaare Nahi Hote
Yun Chand Ke Pehlu Main Sitare Nahi Hote
Ham Is Lye Karte Hen Aap Ki Fikar
Kiunki Dil Ke Kareeb Sare Nahi Hote

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Dil Shayari 171 - 180 of 523, Page 18 of 53 pages.