Dil Shayari

Dil Shayari - A large collection of Dil Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Dil Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Dil Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Dil Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Dil Shayari

Showing Dil Shayari 131 - 140 of 523, Page 14 of 53 pages.

Teri Doori Ka Ehsaas Jab Satane Laga
Tere Sath Guzra Har Lamha Yaad Aane Laga
Jab Bhi Bhulane Ki Koshish Ki
Tu Dil Ke Aur Karib Aane Laga

 1 People liked it
1 Ratings

Kamaran yun tha mera bakht-e-javan kal raat ko
jhuk raha tha mere dar pe aasaman kal raat ko
husn jab tha ishq ke ghar mahaman kal raat ko
uth chuka tha har hijab-e-daramiyan kal raat ko
kash ban jati hayat-e-javidan kal raat ko
kis qadar mahbub thi umr-e-ravan kal raat ko
dil agar tanha mera tir-o-kaman ke zad pe tha
dil ke zad par bhi rahe tir-o-kaman kal raat ko
ban rahi thi halqa meri zist ke girdab ka
kuch sunahari kuch rupahali churiyan kal raat ko
ruk gain thi yun zamin-o-asaman ke gardishen
nim-shab par sham hi ka tha guman kal raat ko
kya khabar kyon husn ke farmaishon ke bavajud
ishq ne chedi na apni dastan kal raat ko
subah phir lane ko hai lambi judai ka payam
ye bhi ik aavaz aayi nagahan kal raat ko

 1 People liked it
1 Ratings

Koi Hanse To Tujhe Gum Lage Hansi Na Lage
K Dillagi Bhi Tere Dill Ko Dillagi Na Lage
Tu Roz Roya Kare Uth Ke Ratoon Mein
Khuda Kare Tera Mere Baghair Jee Na Lage

 1 People liked it
1 Ratings

Phirate hain kab se darbadar ab is nagar ab us nagar
ek dusare ke hamsafar main aur meri aavaragi
na aashana har rahguzar na meharban hai ek nazar
jayen to ab jayen kidhar main aur meri aavaragi
hum bhi kabhi aabad the aise kahan barbad the
bifikr the aazad the masarur the dilshad the
wo chal aisi chal gaya hum bujh gaye dil jal gaya
nikle jala ke apna ghar main aur meri aavaragi
wo mah-e-vash wo mah-e-ruh wo mah-e-kamil hubahu
thin jis ke baten kubaku us se ajab thi guftagu
phir yun hua wo kho gai aur mujh ko zid si ho gai
layenge us ko dhund kar main aur meri aavaragi
ye dil hi tha jo sah gaya wo baat aisi kah gaya
kahane ko phir kya reh gaya ashkon ka dariya bah gaya
jab kah kar wo dilbar gaya tee liye main mar gaya
rote hain us ko raat bhar main aur meri aavaragi
ab gham uthayen kis liye ye dil jalayen kis liye
aansu bahayen kis liye yun jan gavayen kis liye
pesha na ho jis ka sitam dhundenge ab aisa sanam
honge kaheen to kargar main aur meri aavaragi
aasar hain sab khot ke imkan hain sab chot ke
ghar band hain sab kot ke ab khatm hai sab totake
qismat ka sab ye khel hai andher hi andher hai
aise hue hain beasar main aur meri aavaragi
jab hamdam-o-hamraz tha tab aur hi andaz tha
ab soz hai tab saz tha ab sharm hai tab naz tha
ab mujh se ho to ho bhi kya hai sath wo to wo bhi kya
ek behunar ek besabar main aur meri aavaragi

 1 People liked it
1 Ratings

Kho Diya Jise Apna Hone Ke Bawajood
Wo Yaad Bahut Aata Hai Kisi Aur Ka Hone Ke Bawajood
Karna Hai Use Hi Dil Se Juda
Is Dil Ki Dhadkan Hone Ke Bawajood.

 1 People liked it
1 Ratings

Us ne jab tyori badal kar baat ke
mit gai duniya meri jazbat ke
tum ne shishe pe jhuk kar baat ke
wo uthi kali ghata barsat ke
dil ke dhadakan bad rahi hai har nafas
tez hai raftar paigamat ke
tum mere duniya meri uqba meri
ab kami mujh ko bhala kis baat ke
ro diye hum dekh kar su-e-falak
us ne hans kar jab kisi se baat ke

 1 People liked it
1 Ratings

Behti Hawaon Se Awaaz Aayegi
Har Dhadkan Se Fariyaad Aayegi
Bhar Denge Aapke Dil Me Pyar Itna Ki
Saans Bhi Loge To Sirf Meri Yaad Aayegi.

 1 People liked it
1 Ratings

Moonh Ki Baat Sune Har Koi, Dil Ke Dard Ko Jaane Kaun
Aawazo Ke Bazaron Mein Khamoshi Pehchane Kaun

Sadiyan-Sadiyan Vahi Tamasha, Rasta-Rasta Lambi Khoj
Lekin Jab Hum Mil Jate Hain Kho Jata Hai Jaane Kaun

Main Uski Perchhai Hoon Ya Voh Mera Aaina Hai
Mere Hi Ghar Mein Rehta Hai Mere Jaisa Jaane Kaun

Kal Meri Neendo Mein Chhupkar Jaag Raha Tha Jaane Kaun
Dheeme-Dheeme Bikhar Raha Hai Zrrah-Zaraah Jaane Kaun

 1 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Dil Shayari 131 - 140 of 523, Page 14 of 53 pages.