Dil Shayari

Dil Shayari - A large collection of Dil Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Dil Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Dil Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Dil Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Dil Shayari

Showing Dil Shayari 281 - 290 of 523, Page 29 of 53 pages.

Dil Karta Hai K Pyaar Karoon
Dil Karta Hai K Shararat Karoon
Dil Karta Hai K Baitha Rahoon
Dil Karta Hai K Dekhta Rahoon
Dil Karta Hai K Khamosh Rahoon
Dil Karta Hai K Kuch Kahoon
Dil Karta Hai K Baat Karoon
Dil Karta Hai K Tareef Karoon
Dil Karta Hai K Iqraar Karoon
Dil Karta Hai K Naraz Karoon
Dil Karta Hai K Razi Karoon
Dil Karta Hai K Chupa Rahoon
Dil Karta Hai K Intizar Karoon
Dil Karta Hai K Phir Yaad Karoon
Dil Karta Hai K Khayal Karoon
Dil Karta Hai K Khooya Rahoon
Aur Kabhi
Dil Darta Hai K Toba Karoon

 0 People liked it
0 Ratings

Log toot jate hain ek ghar banane mein
tum taras nahi khate bastiyan jalne mein
aur jam tutenge is sharab-khane mein
mausamon ke aane mein mausamon ke jane mein
har dhadakate pathar ko log dil samajhate hain
umr bit jati hai dil ko dil banane mein
fakhta ke majboori ye bhi kah nahi sakati
kon sanp rakhta hai usake aashiyane mein
dusari koi ladaki zindagi mein aayegi
kitni der lagti hai usako bhool jane mein

 0 People liked it
0 Ratings

Dil Ke Kagaz Par Maine Ye Paigaam Likha Hai
Kuchh Panne Bhar Ke Tera Naam Likha Hai.
Bana Julfo Ko Chandni Raat Aur Aanchal Ko Baadal,
Tere Jism Ko Sitaaro Se Saja Aasmaan Likha Hai.
Baha Lu Meri Hamnafas Tujhe Mehka Du Duniya
Apne Aangan Ka Maine Tumhe Gulistaan Likha Hai.
Tere Shabnami Hotho Ke Tabbsaum Ko Chura Kar,
Apne Dil Mai Chhupe Khuda Ki Muskaan Likha Hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Jab yar ne utha kar zulfon ke bal bandhe
tab main ne apne dil mein lakhon khayal bandhe
do din mein hum to rijhe ae vae hal un ka
guzri hain jin ke dil ko yan mah-o-sal bandhe
tar-e-nigah mein us ke kyon kar phanse na ye dil
aankhon mein jis ke lakhon vahashi gazal bandhe
bose ke hai to khvahish par kahiye kyon ke us se
jis se mizaj-e-lab par haraf-e-saval bandhe
maroge kis ko jee se kis par kamar kasi hai
phirate ho kyon pyare talavar dhal bandhe
do char sher aage us ke padhe to bola
mazamun ye tune apne kya hasb-o-hal bandhe
“sauda” jo un ne bandha zulfon mein dil saza hai
sheron mein us ke tu ne kyon khat-o-khal bandhe

 0 People liked it
0 Ratings

Khabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi
na to tu raha na to main raha, jo rahi so bekhabari rahi
shah-e-bekhudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barahanagi
na khirad ke bakhiyagari rahi na junun ke pardadari rahi
chali simt-e-gaib se ik hawa ki chaman zahur ka jal gaya
magar ek shakh-e-nihal-e-gham jise dil kahen so hari rahi
nazar-e-tagaful-e-yar ka gila kis zaban son bayan karun
ki sharab-e-sad-qadah aarzoo khum-e-dil mein thi so bhari rahi
wo ajab ghadi thi main jis ghadi liya dars-e-nuskha-e-ishq ka
ki kitab-e-aql ke taq mein jyun dhari thi tyun hi dhari rahi
tere josh-e-hairat-e-husn ka asar is qadar son yahan hua
ki na aaine mein rahi jila na pari kun jalva-gari rahi
kiya khak aatish-e-ishq ne dil-e-benava-e-”siraj” kon
na khatar raha na hazar raha magar ek bekhatari rahi

 0 People liked it
0 Ratings

Lete hi dil jo aashiq-e-dil-soz ka chale
tum aag lene aaye the kya aaye kya chale
Bal be garur-e-husn, zamin par na rakhe paon
maninde aaftab wo be naqashe pa chale
kya le chale gali se teri hum ke jun nasim
aaye the sar pe khak udane, uda chale
aaluda chashm mein na hui surma se nigah
dekha, jahan se saf hi ahale safa chale
sath apne le ke tausane umare ravan ko aah
hum is saraye dahar mein kya aaye kya chale
fikare qanayat unko mayassar hui kahan
duniya se dil mein le ke hirs-o-hava chale
ae ‘zauq' hai gazab nigahe yar, alhafeez!
wo kya bache ke jis pe ye tir-e-qaza chale

 0 People liked it
0 Ratings

Ishq Aisa Karo Ki Dhadkan Mein Bas Jaaye
Saans Bhi Lo To Khushboo Usi Ki Aaye
Pyaar Ka Nasha Aankhon Pe Chhaaye
Baat Koi Bhi Ho Par Naam Usi Ka Aaye

 0 People liked it
0 Ratings

Jis tarah chahen karam farmayiye
dil mein rahiye dard banate jayiye
sochiye to husn kafir kuch nahi
dekhiye aur dekhte reh jayiye
ho chuki taskin q samajhayiye
aap ko jana hai acha jayiye
un ke ghar aur sirf un ke ghar ‘raza'
jayiye aur bin bulaye jayiye

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Dil Shayari 281 - 290 of 523, Page 29 of 53 pages.